tere khushbu me base khat mai jalata kaise
payar main dube hue khat main jalata kaise
tere hatho ke likhe khat main jalata kaise
jinko duniya ki nigaho se chupaye rakha
jinko ik umr kalejey se lagaaye rakha
din jinko jinhe iman banaye rakha
tere khushbu me base khat mai jalata kaise
jinka har lafz mujhe yad tha pani ki tarah
yad the mujhko jo paigaam-e-zubaani ki tarah
mujh ko pyare the jo anmol nishani ki tarah
tere khushbu me base khat mai jalata kaise
tuune duniya ki nigaho se jo bachakar likhe
saalaha saal mere naam barabar likhe
kabhi din me toh kabhi rat me uthkar likhe
tere khushbu me base khat mai jalata kaise
payar main dube hue khat main jalata kaise
tere hatho ke likhe khat main jalata kaise
tere khat aaj mai ganga me baha aaya hu
tere khat aaj mai ganga me baha aaya hu
aag behete hue pani me laga aaya hu
Very painfull. I am bowed by its beauty ,..the meaning full
lyrics and the singing by JAGJITH SINGH.these all my treasured
memories...