tere nagme teri baaten
tera hi naam likhta hun
tere nagme teri baaten
tera hi naam likhta hun
main aashiq hun deewana hun
subh ko shaam likhta hun
tere nagme teri baaten
tera hi naam likhti hun
tere nagme teri baaten
tera hi naam likhti hun
aji kaisi deewani hun
subh ko shaam likhti hun
tere nagme teri baaten
tera hi naam likhta hun
teri yaado ke mausam ko
kabhi main rok na paaun
khyaalo ke gulistaa mein
mehakta main chala jaaun
meri aakhon ke darpan mein
tere hi khwaab aate hain
mere armaa bade bekal
kahin na chain paate hain
kahin na chain paate hain
tere hotho pe hotho se
hasee paigaam likhta hun
tere hotho pe hotho se
hasee paigaam likhta hun
main aashiq hun deewana hun
subh ko shaam likhta hun
tere nagme teri baaten
tera hi naam likhti hun
likhi tune jo chhup chhup ke
wahi to main kahani hun
teri saanso mein rehti hun
main teri zindagani hun
judaai ka koi lamha
meri jaa na saha jaaye
bina dekhe tera chehra
kahin bhi na raha jaaye
kahin bhi na raha jaaye
jawaan aagaaz ka harpal
jawaa anjaam likhti hun
jawaan aagaaz ka harpal
jawaa anjaam likhti hun
aji kaisi deewani hun
subh ko shaam likhti hun
tere nagme teri baaten
tera hi naam likhta hun
tera hi naam likhti hun
tera hi naam likhta hun
Lovely song. Reminds me of my childhood.