teri yaad hi ab sahara bani hai
teri yaad hi ab sahara bani hai
ke jeene ka ab ye bahana bani hai
koi inn yadon ko chhune na paye
darpan mein yadon ke tu hi nazar aaye
ye yadein meri zindagani bani hai
ye yadein meri zindagani bani hai
teri yaad hi ab sahara bani hai
saja na tha gulshan fiza aa gayi re
bana tha na aashiyan ke bijli giri re
saja na tha gulshan fiza aa gayi re
bana tha na aashiyan ke bijli giri re
main jaun kahan main jaun kahan
ke mera koi nahi hai
judai teri ab kayamat bani hai
judai teri ab kayamat bani hai
teri yaad hi ab sahara bani hai
zamane ne humko juda kar diya re
kaisa nirala gum hum ko diya re
zamane ne humko juda kar diya re
kaisa nirala gum hum ko diya re
na jeene diya na jeene diya na hum ko marne diya re
jawani meri ek kahani bani hai
jawani meri ek kahani bani hai
teri yaad hi ab sahara bani hai
andhero mein aa kar main kyun gir gaya re
chaahat ka badla ye kaisa mila re
andhero mein aa kar main kyun gir gaya re
chaahat ka badla ye kaisa mila re
hai manzil kahan hai manzil kahan ye mujhe koi bata de
ke sathi koi ab jahan mein nahi hai
ke sathi koi ab jahan mein nahi hai
teri yaad hi ab sahara bani hai
ke jeene ka ab ye bahana bani hai
koi inn yadon ko chhune na paye
darpan mein yadon ke tu hi nazar aaye
ye yadein meri zindagani bani hai
teri yaad hi ab sahara bani hai