mohabbt banaye mohabbat mitaye
mohabbt kisi din khuda ban na jaye
mohabat karam bhi mohabbat sitam bhi
mohabbat se majbur tum bhi ho hum bhi
thi ek sahjadi badi khubsurat
jami par utar aayi thi hur jannat
jawa jism me sau tarah ke najare
hasi mast aankho me pighle sitare
thi ek sahjadi
wo lamba sa kad wo lachakti si bahe
gunahgar karti thi nichi nigahe
larazte jo the lab gulabi gulabi
patak dete the jam kitne sarabi
najar me takaze labo par bahane
chali ho kisi ka mukaddar jagane
thi ek sahjadi
achanak fakir ek nasibo ka mara
najar aa gaya jaise badal me tara
nigahe mili aarzu muskura di
mohabbat ne soi tamanna jaga di
thi ek sahjadi
itna hase aakhir unko rona pada
dekho sitam milkar juda hona pada
itna hase aakhir unke rona pada
dekho sitam milkar juda hona pada
khwabo ki jannat lut gayi
raste me ulfat lut gayi
wo chandani rate gayi rangin mulakate gayi
dusman jamana ho gaya
dil ka suku khona pada
itna hase aakhir unke rona pada
dekho sitam milkar juda hona pada
mohabbat ki dunia lut jane ke bad
wo dilruba shame haya jalne lagi
fariyad me katil hasi dhalne lagi
aankho se jadu ud gaya najro ka nastar ud gaya
gesu paresha ho gaye marne ke sama ho gaye
gesu paresha ho gaye marne ke sama ho gaye
sine me hardum aah ki talwar si chalne lagi
wo dilruba shame haya jalne lagi
fariyad me katil hasi dhalne lagi
or bechara shayar
wo majbur kismat se baji lagaye
lahu se chirage tamanna jalaye
mukalif hawao se takra raha tha
andhere me chala ja raha tha
mohabbat ne jakhmi labo se dua di
liya jisne dil ja usi par gawa di
ghata khul gayi aasuo ki baras kar
thi ek sahjadi
Talat was handsome with a very classy voice. There are no singers like him
any more and never will be.