tu hai mera krishan kanhaai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai, kanhaai
mose kyu aankh churaai
tu hai mera krishan kanhaai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai
apna bhi tha man ujiyaala
jivansathi mangalmala
ek lalan tujhsa natkhat
tere jaisa bhola bhala
usne bhi mamata bhulaai
roye yashomati maai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai
tere bande is dharti pe
khud apne bhagwaan bane hai
naam ke hai ye insaa lekin
karmo ke shaitaan bane hai
kaisi ye rachna rachaai
roye yashomati maai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai, kanhaai
mose kyu aankh churaai
tu hai mera krishan kanhaai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai
moh maaya hai sab ke aage
sab jan uske pichhe bhaage
jag me sabke do chehre hai
aise jag me ji na laage
sun le tu meri duhaai
roye yashomati maai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai, kanhaai
tu hai mera krishan kanhaai
duniya ruthe saans bhi chhute
lekin meri aas na tute
laaj bacha le aaj tu mohan
dekh mera vishwaas na tute
dekh mera vishwaas na tute
dekh mera vishwaas na tute
hogi teri ruswaai
roye yashomati maai
pyaar ki jyoti mandir masjid
pyaar hai ishwar, pyaar khuda hai
pyaar ke dam se hai ye duniya
sab dharmo se pyaar bada hai
koi bataaye kaun yaha pe
paapi ban ke paida hua hai
pyaar bina hai saari buraai
varna jag me kaun bura
duniya samajh na paai