tuhi mera chanda tu hi tara
tu na ho to jag me ho andhiyara
tuhi mera chanda tu hi tara
tu na ho to jag me ho andhiyara
mere man ke tum suraj ho
tum se hi mujhme hai ujiyara
tum se hi mujhme hai ujiyara
tuhi mera chanda tu hi tara
tu na ho to jag me ho andhiyara
chahe majhdhar me naiya ho
daru mai kyu tum jo khiwayya ho
chahe majhdhar me naiya ho
daru mai kyu tum jo khiwayya ho
jiwan ke is madhuban me
tum mere chote se kanhaiya ho
tuhi mera chanda tu hi tara
tu na ho to jag me ho andhiyara
tu na ho to mati hai mera jiwan
tu ho to ye mati ban jaye kanchan
tu na ho to mati hai mera jiwan
tu ho to ye mati ban jaye kanchan
tumhe pake bhola sa mera ye bachpan
mahke yu jaise mahke chandan
tuhi mera chanda tu hi tara
tu na ho to jag me ho andhiyara
janam janam ka ye pyara bandhan
tut na jaye ghabrye mera man
janam janam ka ye pyara bandhan
tut na jaye ghabrye mera man
sach to yahi hai kabhi suraj se
hui hai juda na koi uski kiran
tuhi mera chanda tu hi tara
tu na ho to jag me ho andhiyara
mere man ke tum suraj ho
tum se hi mujhme hai ujiyara
tum se hi mujhme hai ujiyara
tuhi mera chanda tu hi tara
tu na ho to jag me ho andhiyara