tu kisi aur ki jaagir hain
ae jaane gajal
tu kisi aur ki jaagir hain
ae jaane gajal
log tufaan utha denge
mere saath na chal
tu kisi aur ki jaagir hain
ae jaane gajal
pahle hak tha teri
chahat ke chaman par mera
pahle hak tha teri
khushbuye badan par mera
ab mera pyaar tere
pyaar ka hakdaar nahi
mera tere gesuo rukhsar ka
hakdar nahi
ab kisi aur ke shano pe
hain tera aanchal
tu kisi aur ke jaagir hain
ae jaane gajal
tu kisi aur ke jaagir hain
ae jaane gajal
main tere pyar se
ghar apna basaau kaise
main teri maang sitaron se
sajaau kaise
meri kismat me
nahi pyar ke khushbu saayad
meri haatho ki lakiro me
nahi tu saayad
apni takdir bana
mera mukaddar na badal
tu kisi aur ki jaagir hain
ae jaane gajal
tu kisi aur ki jaagir hain
ae jaane gajal
mujhse kahti hain
ye khamosh nigahen teri
meri parvaj se unchi hain panahe teri
aur mai gairat ehsaas pe sharminda hun
ab kisi aur ki baho me hai bahe teri
ab kaha mera thikana hain
kaha tera mahal
tu kisi aur ke jaagir hain
ae jaane gajal
log tufaan utha denge
mere saath na chal
tu kisi aur ki jaagir hain
ae jaane gajal
tu kisi aur ki jaagir hain
ae jaane gajal
ye zasbat,,,,,,,dar tha tumhe kho denge isliye kabhi paa na sake yaadon ko
teri magar dil se bhula na sake shikwaa aaj bhi hai tere door jaane ka naam
to honton pe tha par kabhi bula na sakege