din badla raat badli sitaare badal gaye
badli adaye aur ishare badal gaye
chehre badal gaye kahi surat badal gayi
najre badal gayi to najare badal gaye
dil badle teer badle nishana badal gaya
duniya ke rang badle fasana badal gaya
lekin tere badalne se badli har ek chiz
tu jo badal gayi to jamana badal gaya
sochna kya us ghadi ka jo gayi jo gayi jo gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
kal lutte the tujhko lutere kitne hi jalim dushman the tere
ijjat ke daaku rehte the ghere charo taraf the gum ke andhere
har ek najar ek mithi chhuri thi har aadmi ki niyat buri thi
wo lutte the rup ka sona jinke liye thi naari khilona
padne laga jab laaj pe daaka wo banke uthi ek dhamaka
kal tak thi tu ek harni jaisi aaj lage tu sherni jaisi
khub ye tune badla hai chola kal tak thi shabnam aaj hai shola
kaap utha har katil kamina rupa bani jab daaku hasina
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
najar ke samne mata pita ka khun hua jawani
lut gayi sharmohaya ka khun hua
samaaj chup raha mardo ke beusuli par
latkati reh gayi tu wasna ki suli par
dulhan na ban saki par dulhano ke kaam aayi
teri wajah se baji kitne ghar mein shehnai ae
sherni teri shero pe hukm rani hai
har ek julm tere aage sab pani pani hai wo
sach ke tej ko sholo pe jake leti hai
kaushalya hawwa yashoda ki wo bhi beti hai
yahi paigambaro avtaro ko bhi janti hai ye
surmaao ki veero ki maa bhi banti hai
ye sita parvati hai yahi to radha hai ye
lakshmi hai ye maryam hai ye sulekha hai
inhi ka daudta hai khun teri nas nas mein tu
rajwali hai raj hai tere bas mein
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tera nishana sachcha nishana darta hai tujhse sara jamana
shero ke jaisa tera jigar hai bijli ke jaisi teri najar hai
mardo se tune haq apna chhina charche hai tere ghar ghar hasina
kya iska rona jo kho chuka hai wo ab na hoga jo ho chuka hai
kyunki tipu sultan ki lalkar tu hai aur shivaji ki talvar tu hai
bhole shankar ka trishul hai tu aur tu hai bhavani ki maala
tu bhagatsingh ki pistol bhi hai ranapratap ka tu hai bhala
lakshmibai ki shaan tu hai sherowali ka vardan tu hai
nur hai tere dil mein khuda ka khauf tujhko nahi hai kaja ka
pyar mamta ki tasvir hai tu jane kitno ki takdir hai tu
naam sunkar tera ae hasina putli fulal ko aaya pasina pasina
are tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi
tu pehle kya thi aur ab kya ho gayi