tujhe chor kahu ya kaatil
baaton baaton mein tune mera dil
kar liya chori haye haye chori
tu to bade gazab ki hai chhori
o chhori tujhe chor kahu ya kaatil
haye haye kaatil
bedard sitamgar beparwah
bekal chanchal chatki si
dil sakht kayaamat patthar sa
aur baaten naram rasili si
kajraari aankh katili si
matwari naar hatili si
wo akhiyan mast nashili si
kuch kaali si kuch pili si
o tujhe chor kahu ya kaatil
haye haye kaatil
ruthe machle sau swandh kare
baaton mein lade nazron mein mile
hai hosh kayaamat kaafir ka
jo baat kahu wo sab samjhe
ye shokhi phurti betaabi
bijli ki tarah chamke damke
chanchal achpal chatke matke
sir khole dhaape has has ke
o tujhe chor kahu ya kaatil
haye kaatil
jee chaahe tujhe baahon mein liye
ho jaaun mast bahaaron mein
ya dur kahin phir udd jaaun
haste hue chaand sitaaron mein
ho husan ki malika dil lekar
ab khoon-e-tamnna naa karna
jo aaj kahu mujhe kehne de
kisi baat pe na tu naa karna
tujhe chor kahu ya kaatil
baaton baaton mein tune mera dil
kar liya chori haye haye chori
tu to bade gazab ki hai chhori
o chhori tujhe chor kahu ya kaatil
haye kaatil