ek samay tha ki fizaaon mein sangit ghula tha
hawayein ghanere paidon mein
chhup ke apni raginiyan sunati thi
phool jhumte the pattiyan sarsarati thi
nadiyaan jharne panchhi
sabhi to gungunaa rahe the
ab jab tum nahin ho to apni aawaz bhi
sunayi nahin deti
tu nahin to jaise mere hothon se
geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye
mere sur ajnabi ho gaye saare
aa sun le tu meri khamoshiyon ki sadaa
ab aa bhi jaa
sun le tu woh bhi, maine nahi jo kahan
ab aa bhi jaa
tu nahin to jaise mere hothon se
geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye
mere sur ajnabi ho gaye saare
kaise main kahun hairaan si hoon
kaisi ajab si baat hai
lekin tere bin hote nahin din
bas ek lambi raat hai
sunsaan raahein sehmi hui hai fizaa
ab aa bhi jaa
tu nahin to jaise mere hothon se
geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye
mere sur ajnabi ho gaye saare
waise to yahan ho ke meharban
milne ko aaye log hain
tu hai par kahan mere hum zaban
ye to paraye log hain
mera nahin hai koi bhi tere siwa
ab aa bhi jaa
tu nahin to jaise mere hothon se
geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye
mere sur ajnabi ho gaye saare
sunle tu meri khamoshiyon ki sadaa
ab aa bhi jaa
sun le tu woh bhi maine nahin jo kahan
ab aa bhi jaa
tu nahin to jaise mere hothon se
geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye
mere sur ajnabi ho gaye saare
tu nahin to jaise mere hothon se
geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye
mere sur ajnabi ho gaye saare
tu nahin to jaise mere hothon se
geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye
mere sur ajnabi ho gaye saare
one of my all time favourite albums! Thanks for uploading!!