tumse milkar, tumhe bhulana
mushkil hai aasan nahi
tumse milkar, tumhe bhulana
mushkil hai aasan nahi
ha diwane dil ko samjhana
mushkil hai aasan nahi
tumse milkar, tumhe bhulana
mushkil hai aasan nahi
har rasta, har manjar ab to
koi fasana lagta hai o
ha har rasta, har manjar ab to
koi fasana lagta hai
jabse tum aaye ho
sara shehar suhana lagta hai
jaate lamho ko tahrana
mushkil hai aasan nahi
tumse milkar, tumhe bhulana
mushkil hai aasan nahi
jhukti aankhe, rukti saanse
dard adhura kahti hai
ha jhukti aankhe, rukti saanse
dard adhura kahti hai
dil ki puri baate aksar
dil ke ander rahti hai
dil ki baat juba par lana
mushkil hai aasan nahi
tumse milkar, tumhe bhulana
mushkil hai aasan nahi
jo hum chahe, wo tum chaho
phir bhi kyu ye duri hai
ha jo hum chahe, wo tum chaho
phir bhi kyu ye duri hai
milkar bhi hum mil nahi paate
ye kaisi majburi hai
rasmo ko diwaar girana
mushkil hai aasan nahi
tumse milkar, tumhe bhulana
mushkil hai aasan nahi