tumse jo baat hui tumse jo mulakat hui
tumse jo baat hui tumse jo mulakat hui
us par to mai bahut kuch likh sakta hu
us par to mai bahut kuch kah sakta hu
likh sakta hu, tumse jo baat hui
ha us ek mulakaat par
tulsi ke chham, gaalib ke sher
samet sakta hu, ha us ek mulakaat par
magar mai meri kalam meri jubaan
sab kuch kamosh ho jaata hai
jab un chap ghadiyo ka mujhe khyal aata hai
vo pal jo khamos the hosh se bahut dur
ha hum hosh me the ha hum hosh me the
un kamosh ghadhyo se pahale maine sirf
itna kaha tha itna kaha tha
meri jindgi ko aaj ki shaam de do
mere tapte huye maathe ko jara tham lo
mai aur mera matha jo kab se jal raha tha
halat ki diwaro se lad raha tha
matha jiski nash nash tut chuki thi
matha jiski lakire duniya lut chuki thi
tumne mathe ko chhua, na jane kya hua
hua to ye hua, hua to ye hua
aasama jhuk gaya, vakt bhi ruk gaya
aasama jhuk gaya, vakt bhi ruk gaya
vo pal jab khamosh the
hosh se bahut dur, ha hum hosh me the
ha hum hosh me the, ha hum hosh me the
ha hum hosh me the, ha hum hosh me the
unse jo mulaakat hui unse jo baat hui
unse jo mulaakat hui unse jo baat hui
unse jo mulaakat hui unse jo baat hui
ha hum hosh me the