tune khat mein likha bhul jaau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
ye na likha ke kaise bhulau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
kaise bhulunga pehli mulakaat main
sharm se laal chehra, wo barsaat main
bheeg kar lag rahi koi murat thi tu
apsarao se bhi khubsurat thi tu
tu hain dhadkan meri, tu hain saanse meri
ye bata de ke kaise bataau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
phir to tu hi meri zindagi ban gayi
ek pujari ki tu bandgi ban gayi
tere aane se suraj ki thi roshni
tu hanse to bikhar jaati thi chandani
mere dil mein basi ek murat hain tu
kaise ab ye yaki main dilaau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
tune majbur hoke likha hain ye khat
teri haalat ka mujhko bhi ehsaas hain
ghar ki izzat ki khatir tu khamosh hain
warna kab tera waada faramosh hain
zindagi se teri dur main jaa raha
hain ye koshish ke na yaad aau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe
ye na likha ke kaise bhulau tujhe
tune khat mein likha bhul jaau tujhe