Lyrics of Tune Mera Yaar Na Milaya Mai Kya Janu Teri Ye Khudayi - तूने मेरा यार ना मिलाया मैं क्या जानू तेरी ये खुदाई
teri kudrat teri tabdeer mujhe kya malum
banti hogi kahin takdeer mujhe kya malum
ho tune mera yaar na milaya main kya janu teri ye khudai
ho tune mera yaar na milaya main kya janu teri ye khudai
ho tune mera yaar, tune mera yaar
tune mera yaar na milaya main kya janu teri ye khudayi
main desh desh fira kuch nisha nahi milta
teri zameen pe mera karwaan nahi milta
jahan me aane se pehle jise milaya tha
kahan gaya wo mera meharban nahi milta
ho tune mera yaar na milaya main kya janu teri ye khudayi
ho tune mera yaar, tune mera yaar
tune mera yaar na milaya main kya janu teri ye khudayi
agar tu chahe to pathar ke dil ko pyar mile
fiza ko rang to virane ko bahar mile
ye kya sitam ke main hi pa na sakun usko
ke jiske milne se dil ko karar mile
ho tune mera yaar na milaya main kya janu teri ye khudayi
ho tune mera yaar, tune mera yaar
tune mera yaar na milaya main kya janu teri ye khudayi
pahad gum ka mere darde dawa se utha
magar ye doori ka parda na darmiya se utha
utha ye doori ka parda jo tujhse mumkin ho
nahi to fir mujhe is jahan se utha
ho tune mera yaar na milaya main kya janu teri ye khudayi
ho tune mera yaar, tune mera yaar
tune mera yaar na milaya mai kya janu teri ye khudayi
Rafi Saab could sing very easily in all three octaves and listen to this
song (Quwaali Type).Singing this song will teach u all type of singing-
High Notes with Valvet Voice,Murkis & to sing low notes.I feel if one can
sing this song properly in Sur but can not modulate voice like Legend Rafi
Saab.Sau Kya Hazaro Saal Mein bhi Rafi Saab Ki Kami Koi Puri Nahi Kar
Sakta.ngThrow is very important otherwise u can not reach higher notes.Wah
Rafi Saab -Miss Him & His Power filled Singing.