mausamon ne rooth ke jahaan se keh diya
bujh naa jaaye roshan haan ummeedon ka diya
mausamon ne rooth ke jahaan se keh diya
bujh naa jaaye roshan haan ummeedon ka diya
toote toote taaro ne nazaaron se kaha
karni ko tumhari humne hans ke saha
ab jodo na todo naata ye saccha
pehro haan thehro achha ho achha
andhere kahin jam na jaayen ujaale baant lo
andhere kahin jam na jaayein ujaale baant lo
patton ne pedon se paani ne nadiyon se
faslon ne dharti se kaha
bachon ne buzurgon se naslon ne purkhon se
har guzarte lamhe ne kaha
andhere kahin jam na jaayein ujaale baant lo
andhere kahin jam na jaayein ujaale baant lo
parvaton ki teesri hai aankh khul gayi
baadlon ki toli bhi ab unse mil gayi
ujle ujle aasman mein chhed ho gaya
prithvi ke jeevon mein kaisa bhed ho gaya
haan doobe le doobe is dharti ke shehar
sambhalo bacha lo ye basti ye nagar
barf ab jalne lage patthar pighalne lage
sabne mil ke duniya se kaha ghatte hue seepon ne
mitte hue deepon ne chillate samandar se kaha
andhere kahin jam na jaayen ujaale baant lo
andhere kahin jam na jaayen ujaale baant lo