unke andaaz-e-karam un pe wo aana dil ka
haye wo waqt wo baateñ wo zamana dil ka
na suna us ne tawajjo se fasana dil ka
umr guzri hai magar dard na jana dil ka
kuchh nayi baat nahi husn pe aana dil ka
mashghala hai ye nihayat hi purana wala
wo mohabbat ki shuruaat wo be tahasha khushi
dekh kar unko wo phoole na samaana dil ka
dil lagi dil ki lagi ban ke mita deti hai
roug dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka
ek to mere muqaddar ko bigaada usne
aur phir uspe ghazab hañs ke banana dil ka
mere pahlu mein nahi aap ki mutthi meiñ nahi
be thikaane hai bahut din se thikana dil ka
wo bhi apne naa hue dil bhi gaya haatho se
aise aane se to behtar tha na aana dil ka
khoob haiñ aap bahut khoob! magar yaad rahe
zeib deta nahi aisoñ ko sataana dil ka
be jhijhak aa ke milo hañs ke milao aañkhe
aao ham tum ko sikhaate hain milaana dil ka
naqsh bar aab nahi wahm nahi khwab nahi
aap kyuñ khel samajhte hain mitaana dil ka
hasrateñ khaak hui mit gaye armaañ sare
lut gaya koocha-e-jaanañ mein khazana dil ka
le chala hai mere pahlu se ba-sad shouq koi
ab to mumkin hi nahin laut ke aana dil ka
unki mehfil mein naseer unke tabassum ki qasam
dekhte reh gaye ham haath se jana dil ka
@forwhois Bhai Ap Peer sahab ka kalam UN K ANDAZ E KAram mujhe send kar
sakte hain ..cux shayad main book tk na phnch sakun..plzz.. nASEEr turabi
ki to suni hai...Peer sahab ki chahiye ...