Lyrics of Usane Kaha Tu Kaun Hai, Mahngai Maar Gai - उसने कहा तू कौन है, महंगाई मार गई
usne kaha tu kaun hai, maine kaha ulfat teri
usne kaha tu kaun hai, maine kaha ulfat teri
usne kaha takta hai kya, maine kaha surat teri
usne kaha chahta hai kya
usne kaha chahta hai kya, maine kaha chahat teri
maine kaha samajha nahi, usne kaha qismat teri
ek hame aankh ki ladaai maar gayi
dusri to yaar ki judaai maar gayi
tisri hamesha ki tanhaai maar gayi
chauthi ye khuda ki khudaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi

tabiyat thik thi aur dil bhi
tabiyat thik thi ha tabiyat thik thi
tabiyat thik thi ha ha tabiyat thik thi
aur dil bhi ha ha dil bhi aji dil bhi beqraar na tha
tabiyat thik thi aur dil bhi beqraar na tha
ye tab ki baat hai ha ha baat hai
ye tab ki, ye tab ki ha ha
tabiyat thik thi aur dil bhi beqraar na tha
ye tab ki baat hai jab kisi se pyaar na tha
jab se prit sapno me samaai maar gayi
man ke mithe dard ki gahraai maar gayi
naino se naino ki ye sagaai maar gayi
soch soch me jo soch aayi maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
kaise vaqt me hay hay kaise vaqt me, kaise vaqt me hay
kaise vaqt me aa ke dil ko dil ki lagi bimaari, kaise vaqt me
kaise vaqt me aa ke dil ko dil ki lagi bimaari
mahangaai ki daur me ho gayi mahagi yaar ki yaari, kaise vaqt me
dil ki lagi dil ko jab lagaai maar gayi
dil ne ki jo pyaar to duhaai maar gayi
dil ki baat duniya ko bataai maar gayi
dil ki baat dil me jo chhupaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
pahle mutthi vich paise lekar
pahle mutthi me paise lekar thaila bhar shakkar laate the
ab thaile me paise jaate hai, mutthi me shakkar aati hai
hay mahangaai mahangaai mahangaai, duhaai hai duhaai
tu kahan se aayi, tujhe kyo maut na aayi,
hay mahangaai mahangaai mahangaai
shakkar me ye aate ki milaai maar gayi
paudar vaale dudh di malaai maar gayi
raashan vaali line di lambaai maar gayi
janta jo chikhi chillaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
garib ko to bachcho ki padhaai maar gayi, padhaai maar gayi
beti ki shaadi aur sagaai maar gayi, sagaai maar gayi
kisi ko to roti ki kamaai maar gayi
kapde ki kisi ko silaai maar gayi
kisi ko to roti ki kamaai maar gayi
kapde ki kisi ko silaai maar gayi
kisi ko makaan ki banvaai maar gayi
jivan de bas tin nisaan - roti kapda aur makaan
roti kapda aur makaan, roti kapda aur makaan
dhundh dhundh ke har insaan
dhundh dhundh ke har insaan, kho baitha hai apni jaan
jo sach sach bola to sachchaayi maar gayi
sachchaayi maar gayi, sachchaayi maar gayi, aur
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
baaki kuchh bacha to mahangaai maar gayi, mahangaai maar gayi
Nothing change all is the same as poor are still suffering no enough food
and prices high sky rocket there is lot place to built house still not
proper house