uthha hai toofan zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
uthha hai toofan zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
kaali kutiyaaon se dekho
phoote hain ujiyaale
phoote hain ujiyaale
thhar thhar thhar thhar kaanp rahe hain
gori chamdiwaale
gori chamdiwaale
ye do din ke mehmaan
zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
uthha hai toofan zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
hum na hindu hain na muslim
hum insaan hain saathi
hum insaan hain saathi
zulm se takraane waale
sab ek samaan hain saathi
ek samaan hain saathi
badlaa hai bhagwaan
zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
uthha hai toofan zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
humne milke aaj hai
shaahi taaqat ko lalkaara
taaqat ko lalkaara
chhodo bharat
chhodo bharat
goonja apna naara
goonja apna naara
chhodo bharat
chhodo bharat
goonja apna naara
goonja apna naara
hum aaj nahin bejaan zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
uthha hai toofan zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
maidaanon mein jhoom ke nikle
laakhon hi mastaane
laakhon hi mastaane
dharti maa ko choom ke nikle
laakhon seena taane
laakhon seena taane
har bagairat peshaani pe
khoon se ye likha hai
wo jeena hi kya jaanega
jo na marna jaane
jo na marna jaane
de denge apni jaan
zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamana badal rahaa
uthha hai toofan zamana badal rahaa
jaaga hindustan zamana badal rahaa
jaaga hindustan uthha hai toofan
jaaga hindustan
khoon shaheedon ka dekho to
aakhir rang hai laaya
aakhir rang hai laaya
katra katra aaj samundar
ban kar hai lehraaya
ban kar hai lehraaya
laakhon deep bujhe to
nikla aazadi ka sooraj
aazaadi ka sooraj
laal qiley par phir se apna
jhanda hai lehraya
jhanda hai lehraya
hui desh ki oonchi shaan
zamaana badal rahaa
jaaga hindustan zamaana badal rahaa
jaaga hindustan jaaga hindustan
jaaga hindustan