Lyrics of Utho Ke Hame Waqt Ki Gardish Ne Pukara - उठों की हमे वक्त की गर्दिश ने पुकारा
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
kahti hai ye raundi hui raahen, idhar aao
majbur hai khamosh nigaahe, idhar aao
ruthe hue honth aur ye aanhe, idhar aao
kuchli hui basti ko mile koi sahara
kuchli hui basti ko mile koi sahara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
hanste hue kheto me uge dhup ke paudhe
rote hue shehro me bilakhte hue bacche
insaan ke bete ka lahu insaan nahi puchhe
kab tak bhala hoga ye jamane ko ganvara
kab tak bhala hoga ye jamane ko ganvara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
insaan ke elaan se duniya ko jaga de
sukhe hue hontho ko naye raag sikha de
tahzib ki laasho me nayi jindgi bhar de
kuchle hue insaano ko insaan bana de
kuchle hue insaano ko insaan bana de
utho ke dubo de na kahi waqt ki dhara
utho ke dubo de na kahi waqt ki dhara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
jaagi hui raahe nayi manjil ko badhengi
jaagi hui raahe nayi manjil ko badhengi
har dil ko naye josh se aabaad karengi
har dil ko naye josh se aabaad karengi
khaamosh nigaahe nahi khaamosh rahengi
khaamosh nigaahe nahi khaamosh rahengi
aazaad hai, aazaad hai, aazaad rahenge
aazaad rahenge, aazaad rahenge
marna bhi humara hai to jeena bhi humara
marna bhi humara hai to jeena bhi humara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara
utho ke hume waqt ki gardish ne pukara