mandir apnaa masjid apni
apnaa hi gurudwara hai
aao ham sab milkar bole
bharat desh hamara hai
kitne majhab kitne dhram hai
kitne majhab kitne dhram hai
aur bhaasha anek hai
hindu hai, muslim hai
hindu, muslim, sikh, ishaai
hindustani ek hai
aao milkar bole ham
vande maatram, vande maatram
kuch gaddar toh apne desh
ke hi tukde karwaayen
gair desh ke balbute pe
apna desh jalaayen
maasoom nihatte logo pe
apni bandook chalaayen
bhai bhai mein phoot ka
dekho kese jehar phelaayen
kitna jor lagaa le dushman
phir bhi ham sab ek hai
hindu, muslim, sikh, ishaai
hindustani ek hai
aao milkar bole ham
vande maatram, vande maatram
apne haaton apne hi
baccho ke khoon bahenge
bolo saari duniya waale
tumko kya kahenge
gandhi, nehru, netaji ke
desh ko naa bikhraao
apne desh ko baat rhe ho
ab toh hosh me aao
ik dharti pe janam liya hai
ik dharti pe janam liya hai
bure hain chaahe nek hain
hindu, muslim, sikh, ishaai
hindustani ek hai
aao milkar bole ham
vande maatram, vande maatram
america,africa dekha
gayaa mein englishtaan
arab desh bhi saare dekhe
pohcha mein iran
german or itali se hokar
aayaa mein japan
sabse pyaara lagaa hai
mujhko apna hindustaan
bharat toh bharat hai chaahe
bharat toh bharat hai chaahe
aur bhi desh anek hai
hindu, muslim, sikh, ishaai
hindustani ek hai
aao milkar bole ham
vande maatram, vande maatram
vishwashanti ka hamne hi
sabko diya paigaam
dusre desho mein bhi jaakr
paida kiya hai naam
aman ki jeet hamesha hoti
koi maane naa maane
aman ka dusra naam hai
bharat saari duniya jaane
khoon kharaba band karo
khoon kharaba band karo
Aur bolo ham sab ek hai
hindu, muslim, sikh, ishaai
hindustani ek hai
aao milkar bole ham
vande maatram, vande maatram
kitne majhab kitne dhram hai
kitne majhab kitne dhram hai
aur bhaasha anek hai
hindu hai, muslim hai
hindu, muslim, sikh, ishaai
hindustani ek hai
aao milkar bole ham
vande maatram, vande maatram
vande maatram, vande maatram
bolo vande maatram