o thehro meri jaan
waada karo nahi chhod ogi tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
waada karo nahi chhod ogi tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
suno meri jaan, hanske mujhe yeh keh do
bheege labon ki narmi mere liye hai
ho, jawaan nazar ki masti mere liye hai
hasi ada ki shokhi mere liye hai
mere liye leke aayi ho yeh saugaat
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
mere hi peechhe aakhir pade ho tum kyun
ek main jawaan nahi hoon, aur bhi to hai
oh, mujhe hi ghere aakhir khade ho tum kyun
main hi yahan nahi hoon, aur bhi to hai
jaao jaake le lo jo bhi de de tumhe haath
jahan sab hai, vahan main bhi hoon
waada karo nahin chhod ogi tum mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
jawaan kayi hai, lekin jahan mein koi
tum si hasi nahin hai, hum kya kare
oh, tumhe miloon main iska tumhe yaki hai
humko yaki nahi hai, hum kya kare
aise nahin bhoolo zara dekho aukaat
kisi ka to dena hoga, de do mera saath
jahan tum ho, vahan main bhi hoon
chhuo nahin dekho zara peechhe rakho haath
jawaan tum ho, jawaan main bhi hoon
jahan tum ho, vahan main bhi hoon

Sharmila Tagore is only heroine who has maximum no of hits songs to her
name. Classic song ...Modern Music directors should learn from these songs
about the music arrangements, right singers for right songs, meaningful
lyrics.if u hear the songs like this in the morning, its guaranteed that
u will keep humming the song for the whole day, thats true music which
rules your mind and heart. Nowadays songs force you to take medicine for
headache