dil ki kasti nazar se chalti hai
zindagi kis hunar se chalti hai
jhum uththa hai khud ba khud mausam
jab wo shehjaadi ghar se chalti hai
dil ki bholi hai tabiyat ki badi hai saadi
dil ki bholi hai tabiyat ki badi hai saadi
waadi e ishq se aayi hai meri shehjaadi
dil ki bholi hai tabiyat ki badi saadi
waadi e ishq se aayi hai meri shehjaadi
waadi e ishq se aayi hai meri shehjaadi
us kaliyo ne chatakne ki adaye li hai
usse shaakho ne lachakne ki adaye li hai
uski zami ka hoosan sitaaro se kam nhi
uski nazar ka rang baharo se kam nhi
sardi me bhi chu lu sardi me bhi chu lu
to mujhe aaye paseena
uske badan ki aanch sararo se kam nhi
usse kaliyo ne chatakne ki adaye li hai
usse shakho ne lachakne ki adaye li hai
usse bizli ne ghatao me chamakna seekha
usse phoolo ne mehakne ki adaye li hai
zulf sone ki tarah haaye ye
zulf sone ki tarah jism hai jaise chaandi
waadi e ishq se aayi hai meri shehjaadi
waadi e ishq se aayi hai meri shehjaadi
wo ajanta si kabhi aur kabhi tajmahal
uski masoom jaawani ka nhi koi badal
ek jhalak me hi pyaar ho jae
jaano dil se nisaar ho jae
dekh le benakaab usko agar
dekh le benakaab usko agar
chaand bhi sharmsaar ho jae
wo ajanta si kabhi aur kabhi tajmahal
uski masoom jaawani ka nhi koi badal
wo agr sair ko raato me kabhi nikle to
chaand taaro ki numayish me bhi pad jaaye khalal
har koi uska har koi uska talabgaar uska faryaadi
waadi e ishq se aayi hai meri shehjaadi
waadi e ishq se aayi hai meri shehjaadi.