kisne ye jana hai
ye kitna purana hai
jata kahan ye silsila
phir se na aana hai
ye kitna suhana hai
pal ye jo humko hain mila
is pal mein aao khud ko
jaan le pehchan le hum
aaon dekhe jeevan ke rang sabhi
bhule na beeti jo thi
dekhenge hoga jo abhi
pehle jaane to sahi
kya hai tera mantra
hai jeet kya aur haar kya
gham aur khushi ke paar kya
hai megh ke aasar kya
toofan kya majhdaar kya
hai baadlon ke paar kya
koi aur bhi sansaar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
hai ye mera mantra
dekho pukare tumhe nabh ke sitare
baahein failaye aasman
behti hawaein tumhe kehti fizaayein
dekho thaame na kaarwan
lekar chal yaadein kal ki
karta chal tu waade kal ke
kismat mein tere kadmo ke nishan
dekhenge aane waale
manzil ko paane waale
poochenge chalne waale
kya hai tera mantra
mehnat bhi hai himmat bhi hai
todi si haan kismat bhi hai
aankhon mein hai kuch khwab bhi
aur seene mein hasrat bhi hai
hain saason ka aadhar kya
aur zindagi ka saar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
hai ye mera mantra
aao na socho na
dil se mita de sab faasle
sarhad na mazhab na
hum sab range ho
ek rang mein, ek rang mein
tera hai apna kya
tera paraya kya
teri hi aasha kya
tera hai jeevan kya
tera hai sapna kya
tera hai ishwar kya
teri hai bhasha kya
tera hai mantra kya
saas ka aadhar kya
aur zindagi ka saar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
baadlon ke paar kya
koi aur bhi sansaar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
hai ye mera mantra
jeet kya aur haar kya
gham aur khushi ke paar kya
hai megh ke aasar kya
toofan kya majhdaar kya
hai baadlon ke paar kya
koi aur bhi sansaar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
hai ye mera mantra
saas ka aadhar kya
aur zindagi ka saar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
jeet kya aur haar kya
gham aur khushi ke paar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
baadlon ke paar kya
koi aur bhi sansaar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
hai ye mera mantra
saas ka aadhar kya
aur zindagi ka saar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
hai ye mera mantra
jaan lo hai pyaar kya
bas jaan lo hai pyaar kya
haan jaan lo hai pyaar kya
hai ye mera mantra