wo pahli nazar jo mili thi humari
hum usi nazar ke diwane huye they
bani thi fir pyar ki dastane
mohbbat ke kitne fasane huye they
wo pahli nazar jo mili thi humari
hum usi nazar ke diwane huye they
wo pahli nazar jo mili thi humari
hum usi nazar ke diwane huye they
mumkin nahi hai bhulana unhe
wo lamhe yaado ke heere moti
unhi ki badaulat chalti hai sansein
unse hi jalti hai dhadkan ki jyoti
wo fursat ke dil ho khwabo ki raate
fumari kamal mohbbat ki batein
wo ruthna manana wo milna milana
gale milke fir wo rona rulana
wo har pal sapno har alam me rahana
dil ki ho bate diwaro se kahna
chhato se tapakti wo yado ki bunde
dekhi bahut hain in palko ko munde
isi baat pe yun sarma na sarna
rah rah fir aaine me sambhalna
wo kitabo me sukhe pholo ka hona
khato ko sirhane me lekar ke sona
wo khidki ke pardo jo chhup chhup ke dikhna
hatheli pe ungli se naam likhna
wo rato ko taro ki ladiyo ko chunna
mahkti chameli ke geeto ko sunna
na tum bhul sakte na maine bhulaya
diya ulfato ka jo humne jalaya
usi pyar ke dil me yaein basi hain
dilkas badi hai badi dilnashi hai
kabhi dekh lu khol ke mere dil ko
tasveer isme tumahari lagi hai
tasveer isme tumahari lagi hai
wo pahli nazar jo mili thi humari
hum usi nazar ke diwane huye they
bani thi fir pyar ki dastane
mohbbat ke kitne fasane huye they
wo pahli nazar jo mili thi humari
hum usi nazar ke diwane huye they
diwane huye they
hum usi nazar ke diwane huye they
Fantastic duet made me nostalgic and brought tears in my eyes. Anwar ji and
sadhna sargam ji at their best. Definately going to buy the CD. Beautifully
penned by lyricist.