wo shaam bhala ab kyu yaado se nahi jaati
wo shaam bhala ab kyu yaado se nahi jaati
kadmo ki tere aahat raaho se nahi jaati
wo shaam bhala ab kyu yaado se nahi jaati
wo shaam bhala ab kyu
aur phir meri pukar sehraao ki aawaz ban gayi
lekin ab achanak is shise ki diwar me ek darar pad gayi
ab hum ek dusre ki aawaz sun paa rahe hai
lekin milna tasavvur me nahi samaata
hamari aawaze kya sada yunhi bhatka rahi hai
kya hamare kadam ghaas ke kisi farsh par
kabhi ek saath uth sakenge
kya hum kabhi kisi sahil ki ret par baithkar
samundar ki lehro ko khamoshi se sun sakenge
aur kya hum kabhi apne chehro par ek dusre
ki saanso ki aawaz mehsus kar sakenge, nahi na
phir tum kyu mere andar utarti ja rahe ho
phir kyu katra katra pighalte ja rahe ho mujhme
jis din tere hontho ne honth mere chume
jis din tere hontho ne honth mere chume
saanso ki tere garmi
saanso ki tere garmi saanso se nahi jaati
saanso ki tere garmi saanso se nahi jaati
kadmo ki tere aahat raaho se nahi jaati
wo shaam bhala ab kyu
wo shaam bhala ab kyu, wo shaam