Lyrics of Ya Elahi Bekason Ko Sirf Tera Aasra Hai - या इलाही बेकसों को सिर्फ तेरा आसरा है
     
ya illahi bekaso ko sirf tera aasra hai 
daaman me ummid bhar de hum garibo ki dua hai 
ya illahi ya illahi 
chahaye tera karam bas teri raahat ka sahara 
gair ka mohtaaj mat rakh paanv jab ye iltazaa hai 
daaman me ummid bhar de hum garibo ki dua hai 
ya illahi ya illahi 
tu hi maula tu hi aaka, tujhse hum maayus kyu ho 
maagane waale ko sabkuch pyar se tune diya hai 
daaman me ummid bhar de hum garibo ki dua hai 
ya illahi ya illahi 
pahle duniya chhod do tum raah jo saitaan ki hai
pahle duniya chhod do tum raah jo saitaan ki hai
bas khuda ka raasta hi paak seedha raasta hai 
sun sada meri mohmmad mustafa ka waasta hai 
jinki khaatir tune maula ye jahaa paida kiya hai 
daaman me ummid bhar de hum garibo ki dua hai 
ya illahi bekaso ko sirf tera aasra hai 
daaman me ummid bhar de hum garibo ki dua hai 
ya illahi ya illahi