yaad hai barisho ka din pancham
yaad hai barisho ka din pancham
jab pahadi ke niche vadi mein
dhundh se jhakakar nikalati hui
rel ki patriya gujarti thi
dhundh mein aise lag rahe the hum
jaise do poudhe pas baithe ho
aur mere us khat mein lipti raat padi hai
vo raat bujha do mera vo saman louta do
mera vo saman louta do
hum bahut der tak vaha baithe
us musafir ka jikr karte rahe
jisko aana tha pichhili shab lekin
jiski aamad ka vakt talta raha
der tak patriayo pe baithe huye
rel ka intjar karte rahe
rel aai na uska vakt hua
aur pancham do kadam chal ke
dhundh par pav rakhkar chal bhi diye
main akela hun dhundh mein pancham
main akela hun dhundh mein pancham
main akela hun dhundh mein pancham
main akela hun dhundh mein pancham
main akela hun dhundh mein pancham