tumko jo dekha
to pahle hosh ude
fir dil gaya
eji mil gaya
humko mohbbat ka natija mil gaya
bhai waah
kamaal hai jaan jati hai yahan
lakin tumhra dil gaya
mai puchti hun
ki tum kaise aashik ho
ke itne me kaleja hil gaya
maine kahan
ki jaan lena agar
to shok se ye jaan lo
magar shart itni hai
ki tum kehna maan lo
husn kahte hai hume
acchi tarah phichaan lo
samjhe
are kaam ye accha nahi behkane ka
ab irada hai mera mar jane ka
dil lagaoge agar
humse to pachhtaoge tum
ek na ek din gum ke aangaro
me jal jaoge tum
eji humne mana
hum pe rah rah kar sitam dhaoge tum
magar dekhna ye hai
ki ab bach kar kahan jaoge tum
husn ke aashik hai wo
wada unhe vismil ka hai
jhuthi baaton me na aana
mashwara ye dil ka hai
husn se baat aa padi hai
wakt kis muskil ka hai
aur ya ilahi khair karna
ab samna katil ka hai hay
usne seekha hai hunar tadpaane ka
eji lut gaya imaan bhi diwane ka
hay re diwane ka
kaun kehta hai ki
jahan me pyaar karna bura hai
sach to ye hai
pyaar ka ijhar krna bura hai
vakai ek dusre pr
vaar krna hai bura
is tarah aapas me yun takrar karna hai bura
accha, aji silsila accha nahi takrane ka
hai irada hai mera mar jane ka
usne seekha hai hunar tadpaane ka
eji lut gaya imaan bhi diwane ka
diwane ka
usne seekha hai hunar tadpaane ka
eji lut gaya imaan bhi diwane ka