badi der hui tera intezaar karte karte
beet jaye na umar meri tumhe yaad karte karte
yaar mere banke bahar aaja
leke mere dil ka karar aaja
main hun kabse tumse milne ko bekarar
o mere yaar o mere pyar
yaar mere banke bahar aaja
leke mere dil ka karar aaja
main hun kabse tumse milne ko bekarar
o mere yaar o mere pyar
yaar mere banke bahar aaja
khilti hui kaliyan ye kehti hai mujhe aaj ayega koi
chori chori piche se aake meri ankhen dabayega koi
chodunga na main pakad ke uski kalai jakad ke
chodunga na main pakad ke uski kalai jakad ke
puchunga kya hai tera naam
puchunga kya hai tera naam
banke koi chameli gulab aaja
banke koi chandni tu raat aaja
main hun kabse tumse milne ko bekarar
o mere yaar o mere pyar
yaar mere banke bahar aaja
behte hue jharne ye kehte mujhe aaj ayega koi
meethe meethe pyare se geet mujhe sunayega koi
jhoom uthunga main sunke
khush hoke main uski dhun pe
jhoom uthunga main sunke
khush hoke main uski dhun pe
de dunga jaan usko inaam
de dunga jaan usko inaam
banke koi nadiyan ki dhar aaja
banke koi thandi fuvar aaja
main hun kabse tumse milne ko bekarar
o mere yaar o mere pyar
yaar mere banke bahar aaja
bheege bheege se ye mast nazare
aise mein koi dil kyun na hare
unche unche ye parvat hai pyare
gunjate hai meri hi sada se
milke mere sang ye bhi pukare
milke mere sang ye bhi pukare
yaar mere banke bahar aaja
leke mere dil ka karar aaja
yaar mere banke bahar aaja
yaar mere banke bahar aaja
This song is from an almost unknown movie "Pyar Ke Do Char Din" This is
filmed on Jagminder and Madhu Malhotra. Lovely lyrics and evergreen tune is
composed by G. S. Mangat, now known as Gurmeet Ludhianvi