main aankhon ke dar milu na agar
mera ek pata ye aawaz hai, ye aawaz hai
na ho roshni ho raaten ghani
to chehra mera ye aawaz hai, ye aawaz hai
mera aks ye jo tasveer hai
lahar ne chhua to dhul jaayega
jo pahchan hai mere naam se
wo ek naam shoro mein
ghul jaayega, ghul jaayega
ye hasti meri agar dor hai
to uska sira ye aawaz hai, ye aawaz hai
na ho roshni ho raaten ghani to chehra mera
ye aawaz hai, ye aawaz hai
hatheli teri chhui to laga
ye duniya mujhi pe meherbaan hai safar hai wahi
wahi manzilein to phir kyun lage
raah aasaan hai, raah aasaan hai
teri fikr se khanakti hai jo
wahi ik sadaa ye aawaz hai, ye aawaz hai
na ho roshni ho raaten ghani to chehra mera
ye aawaz hai, ye aawaz hai agar dard ka
koi rang hai main us rang mein goonjtaa shor hoon
mera khwaab tha rahoon khwaab mein
magar main haqeeqat mein
kuchh aur hoon, kuchh aur hoon
kisi gam ka ye ab ilzaam de
khudi se khafaa
ye aawaaz hai, ye aawaaz hai
na ho roshni ho raaten ghani to chehra mera
ye aawaz hai, ye aawaz hai ye aandhi mujhe giraati rahe
ise kya gumaan hai main dar jaaungi
lo sau baar tum bikhero mujhe
hazaaron gunaa main bikhar jaaungi, nikhar jaaungi
jo toote magar na badle bayaan wahi aaina
ye aawaaz hai, ye aawaaz hai na ho roshni ho raaten ghani
to chehra mera ye aawaz hai, ye aawaz hai
andhera bhi hai ujaala bhi hai
yehi to seher ki shuruaat hai
parinda akelaa hai aakaash mei
magar khush hai
wo aaj aazaad hai, aaj aazaad hai
jahaan khatm hai waheen se shuru
nayi daastaan ye aawaz hai, ye aawaz hai
na ho roshni ho raaten ghani
to chehra mera ye aawaz hai, ye aawaz hai
main aankhon ke dar milu na agar
mera ek pata ye aawaz hai, ye aawaz hai
