ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
koi jaake unse kah de patthar bhi bolte hain
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
koi jaake unse kah de koi jaake unse kah de
patthar bhi bolte hain patthar bhi bolte hain
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
ye julmo sitam aakhir kab tak sahega koi
berham ki basti me kab tak rhega koi
hai khoon se bhi mehnga majdoor ka paseena
pani na samjh isko anmol ye nageena anmol ye nageena
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
koi jaake unse kah de koi jaake unse kah de
patthar bhi bolte hain patthar bhi bolte hain
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
sita ka diya darja mariym kabhi banaya
nari ko devi kahke hamne kabhi bulaya
kitni badal gayi ab wo sabhayta hamari
sab kuch loota ke suli pe latki hai aaj nari
latki hai aaj nari
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
koi jaake unse kah de koi jaake unse kah de
patthar bhi bolte hain patthar bhi bolte hain
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
in aag ki lapto me armaan jal rahe hain
kahne ko hai jinda par insaan jal rahe hain
mazburiyo ka sauda bebas betanashahi
andher hai ye kaisa ye kaisi hai tabahi ye kaisi hai tabahi
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
koi jaake unse kah de koi jaake unse kah de
patthar bhi bolte hain patthar bhi bolte hain
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
khamosh pattharo se aawaj dekho aayi
zaalim ka julm hara or jeeti hai sachai
ye bezuban log bhi zubaan kholte hain
julmo se jaake kah do patthar bhi bolte hain
patthar bhi bolte hain patthar bhi bolte hain