tujhe sab pyar karte hai
sabhi ne tujhko pooja hai
magar aye pyar ki devi
ye mai janu ke tu kya hai
ye chehre pe chehra lagaogi kab tak
jamane se khud ko chupaogi kab tak
ye chehre pe chehra lagaogi kab tak
zamane se khud ko chupaogi kab tak
sharafat ki putli mohabbat ki devi
sharafat ki putli mohabbat ki devi
hakikat se aankhe churaogi kab tak
churaogi kab tak
ye chehre pe chehra lagaogi kab tak
zamane se khud ko chupaogi kab tak
zara mud ke gujre zamane me jao
kabhi bhuli aanhko se parde uthao
to dhundhli dhue ki lakire banegi
banegi mitengi mitengi banegi
tasawur me ubharega fir koi saya
jo apna tha par jisko samjha paraya
samjha paraya
wo masum jisko daga deke aayi
khub apni khata ki saja deke aayi
khataye purani bhulaogi kab tak
hakikat se aankhe churaogi kab tak
churaogi kab tak
ye chehre pe chehra lagaogi kab tak
zamane se khud ko chupaogi kab tak
tumhari mohabbat ka hakdar tha jo
tarasta raha umar bhar pyar ko wo
yaha tumne gairo pe mamta lutayi
dihkawe ki ulfat se sohrat kamayi
ye sukh chain jo tumne oro ko bate
ye sukh chain jo tumne oro ko bate
ye uske the jisko mile sirf kaate
mile sirf kaate
kisi din wo fir laut kar aa gya to
kisi mod par tumse takra gya to
to ye raaz usse chupaogi kab tak
hakikat se aankhe churaogi kab tak
churaogi kab tak
ye chehre pe chehra lagaogi kab tak
zamane se khud ko chupaogi kab tak
kiya khud se dhokha diye sabko dhokhe
jara khol ke dekho dil ke jharoke
yaha jite ji tum kab ki mar chuki ho
mohabbat ko jinda dafan kar chuki hai
kaha aake ruswa hua pyar dekho
mohabbat pe nafrat ki bochar dekho
bochar dekho
ye uthte hue dekho apna janaza
yahi hai yahi waqt ka ab takaza
mere khun ka koi katra uthalo
lahu mera apne lahu se mila lo
chupi isme kal ki tumhari kahani
tumhari mohabbat ki zinda nishani
lahu ye kabhi rang lake rahega
ye chehre se chehra hatake rahega
gunaho se daman bachaogi kab tak
hakikat se aankhe churaogi kab tak
ye chehre pe chehra lagaogi kab tak
Woooooow shovun wat a act