sangraam sangraam jeevan sangraam
tujhko jeetna hai ye sangraam
tujhe chalna hai, tujhe badhna hai
tujhe ladna hai
ye ghadi hai imtihan ki
laga tu baazi jaan ki
aaj nahi to kal milta hai
har mushkil ka hal milta hai
jab tak tere dam me hai dam
koshish karna tera dharam
sangraam sangraam jeevan sangraam
tujhko jeetna hai ye sangraam
aansu se moti chunle
zakhmo ke tu rang rangle
aansu se moti chunle
zakhmo ke tu rang rangle
lahu se tu singaar ka
dukhiyon ka uddhar kar
lohe ki tarha tapna hai tujhe
aur faulaad hi banna hai
sangraam sangraam jeevan sangraam
tujhko jeetna hai ye sangraam
prthvi jal nabh vaayu agni
tujhe pukaare tejasvini
tujhe bulaaye tujhe jagaaye
anhoni ko kar honi
laksh ko apne saadh kar
sahash ko tu baandh kar
vaar kar prahaar kar
shatru ka tu sanghaar kar
kayam ho jaaye ek misaal
wo kaam tujhe karna hai
bharat ki har beti kahe
mujhe tejasvini banna hai
tejasvini, tejasvini
sangraam sangraam jeevan sangraam
tujhko jeetna hai ye sangraam
ye ghadi hai imtihan ki
laga tu baazi jaan ki
aaj nahi to kal milta hai
har mushkil ka hal milta hai
jab tak tere dam hai dam
koshish karna tera dharam
sangraam sangraam jeevan sangraam
tujhe chalna hai, tujhe badhna hai
tujhe ladna hai