ye husn ka hai bazaar yaha
aurat ki kahani bikti hai
aurat ki kahani bikti hai
ik jinda lash yaha bikti
ik murda jawani bikti hai
ye husn ka hai bazaar yaha
aurat ki kahani bikti hai
ik jinda lash yaha bikti
ik murda jawani bikti hai
jo biwi ko thukrate hai
wo thokar khane aate hai
o o
jo biwi ko thukrate hai
wo thokar khane aate hai
is paap ki putli ke aangan me
punay kamane aate hai
bebas aurat ki aahe aur
dil ki kurbani bikti hai
dil ki kurbani bikti hai
ye husn ka hai bazaar yaha
besharmi ki bottel khulti hai
aur tutte laaj ke daam yaha
o besharmi ki bottel khulti hai
aur tutte laaj ke daam yaha
lala ban aate ram yaha
babu ban aate shyam yaha
gokul ki gwalin bikti hai
aur awadh ki rani bikti hai
ye husn ka hai bazaar yaha
aurat ki kahani bikti hai
ik jinda lash yaha bikti
ik murda jawani bikti hai
ye husn ka hai bazaar yaha o o
jis ghar me beta aata hai
aur likhta prem ka khata hai
jis ghar me beta aata hai
aur likhta prem ka khata hai
bhugtan ko lene is jodi se
baap bhi aata jata hai
in kaale kotho pe mardo ki
meharbani bikti hai o o
meharbani bikti hai
ye husn ka hai bazaar yaha
ye aasman se nahi giri
ik dharti ki hi aayi hai
ye aasman se nahi giri
ik dharti ki hi aayi hai
jitne hai inke diwane
kai baap hai aur kai bhai hai
kulvadhu ki mehandi aur chudiya
har ek nishani bikti hai o o
har ek nishani bikti hai
ye husn ka hai bazaar yaha
aurat ki kahani bikti hai
ik jinda lash yaha bikti
ik murda jawani bikti hai
ye husn ka hai bazaar yaha
Powerful words by Pandit Madhur in this song with satirical words about the
condition of women in society. And a powerful rendition by Mahendra Kapoor.
His idol, Rafi Sahab, would have been proud of him. I hadn't heard this
song before. Thanks, JSji.