Video of this song from youtube
Lyrics of Ye Kahaan Aa Gaye Ham, Yunhi Sath Sath Chalte - ये कहाँ आ गये हम, यूँही साथ साथ चलते
mai aur meri tanhaayi, aksar ye baate karte hai
tum hoti to kaisa hotaa, tum ye kahti, tum vo kahti
tum is baat pe hairaa hoti, tum us baat pe kitni hansati
tum hoti to aisa hotaa, tum hoti to vaisa hotaa
mai aur meri tanhaayi, aksar ye baate karte hai

ye kahan aa gaye ham, yunhi sath sath chalte
teri baaho me hai jaanam, mere jism-o-jaan pighalte
teri baaho me hai jaanam, mere jism-o-jaan pighalte
ye kahan aa gaye ham, yunhi sath sath chalte

ye raat hai, yaa tumhaari zulfe khuli hui hai
hai chandani ya tumhari nazro se, meri raate dhuli hui hai
ye chaand hai, yaa tumhaaraa kangan
sitaare hai yaa tumhara aanchal
hava ka jhonka hai, yaa tumhaare badan ki khushbu
ye pattiyo ki hai sarsarahat, ke tumne chupke se kuchh kaha
ye sochtaa hun mai kabse gumsum
ki jabki mujhko bhi ye khabar hai
ki tum nahi ho, kahi nahi ho
magar ye dil hai ki kah raha hai
tum yahi ho, yahi kahi ho

tu badan hai mai hun saya, tu na ho to mai kahaan hun
mujhe pyaar karne vaale, tu jahaa hai mai vahaa hun
hame milana hi thaa hamdam, kisi raah bhi nikalte
hame milana hi thaa hamdam, kisi raah bhi nikalte
ye kahan aa gaye ham, yunhi sath sath chalte

meri saans saans mahke, koi bhina bhina chandan
tera pyaar chaandani hai, mera dil hai jaise aangan
hui aur bhi mulaayam, meri shaam dhalte dhalte
hui aur bhi mulaayam, meri shaam dhalte dhalte
ye kahan aa gaye ham, yunhi sath sath chalte

majabur ye haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
tanhaayi ke ye raat, idhar bhi hai udhar bhi
kahne ko bahut kuchh hai, magar kisse kahe ham
kab tak yunhi khaamosh rahe, aur sahe ham
dil kahtaa hai duniya ki har ik rasam utha de
divaar jo ham dono me hai, aaj giraa de
kyo dil me sulagte rahe, logo ko bataa de
haa hamko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
ab dil me yahi baat, idhar bhi hai, udhar bhi
ye kahan aa gaye ham, yunhi sath sath chalte
ye kahan aa gaye ham
lyrics of song Ye Kahaan Aa Gaye Ham, Yunhi Sath Sath Chalte
Comments on song "Ye Kahaan Aa Gaye Ham, Yunhi Sath Sath Chalte"
shanmalik17 on Tuesday, May 10, 2011
Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise, isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin. Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri. Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai. Ye kahan aa gaye hum yunhi saath saath chalte :-(
Lyzakful on Thursday, March 17, 2011
How could they not fall in love with each other in real life after so much chemistry between them seen in this movie? It was just so natural n i know till today Amit and Rehka re still much in love cos love is for ever!!! I really wish they had married though but Amit was already married to Jaya long before this movie was made.! Love is indeed strange, sometimes u can't help yrself but fall hopelessly in love with someone even when u know its wrong.Love this movie, the best pair ever!!
lokpat1 on Saturday, December 12, 2009
--MALE-- Yeh raat hai, yeh tumhaari zulfein khuli hui hai Hai chaandni ya
tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hai Yeh chaand hai ya tumhaara
kangan Sitaarein hai ya tumhaara aanchal Hawa ka jhonka hai ya tumhaare
badan ki khushboo Yeh pattiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch
kaha hai Yeh sochta hoon main kab se gumsum Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar
hai Ke tum nahin ho, kahin nahin ho Magar yeh dil hai ke keh raha hai Ke
tum yahin ho, yahin kahin ho
tusharmane on Sunday, January 09, 2011
This song takes you into different world..no matter who you are, male or
female, indian or foreigner, big or small. The sweetness of this song is
something that needs to be experienced. Everyone feels that it is you who
is in that film and its you who is singing the song, I am sure of that. The
voice of lata, amitabh and rekha and yash chopra's direction...this magic
is very exceptional with added music of shiv-hari...wow. A gem indeed.
lokpat1 on Saturday, December 12, 2009
--MALE-- Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain Tum hoti to
kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti Tum is baat pe hairaan hoti, tum
us baat pe kitni hansti Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota Main
aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain --FEMALE-- Yeh kahan aa gaye
hum Yunhi saath saath chalte Teri baahon mein hai jaanam Mere jism-o-jaan
pighalte Yeh kahan aa gaye hum Yunhi saath saath chalte
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Silsila (1981)
Amitabh Bachchan, Rekha, Sanjeev Kumar, Jaya Bachchan, Shashi Kapoor, Kulbhushan Kharbanda, Deven Verma, Sudha Chopra, Sushma Seth, Jagdish Raj, Vikas Anand, Raj Bharti, Feroz Khan, ManekAmitabh Bachchan, Kishore Kumar, Lata MangeshkarHasan, Hasan Kamaal, Javed Akhtar, MeeraShiv HariYash ChopraYash ChopraSilsila at IMDB      Silsila at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type