Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.41 - 34 votes
Title Song
Video of this song from youtube
Lyrics of Ye Lukhnow Ki Sar Zameen - ये लखनऊ की सर ज़मीं
ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
ye rang roop ka chaman ye husn-o-ishq ka vatan
yahi to vo mukaam hai jaha avadh ki shaam hai
jawa jawa hasi hasi ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami

shabaab-o-sher ka ye ghar ye ahal-e-ilm ka nagar
hai manzilo ki god me yaha har ek rahguzar
ye shahar laaldaar hai yaha dilo me pyar hai
jidhar nazar uthaaiye bahaar hi bahaar hai
kali kali hai naazani
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami

yaha ki sab ravaayate adab ki shaahakaar hai
ameer ahl-e-dil yaha gareeb jaa nisaar hai
har ek shaak par yaha hai bulbulo ki chah chahe
gali gali me zindagi kadam kadam pe kah kahe
har ik nazaara hai dilnashi
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami

yaha ke dost bawafa, mohabbato se aashna
kisike ho gaye agar rahe usike umr bhar
nibhayi apni aan bhi, badhayi dil ki shaan bhi
hai aisa meharbaan bhi kaho to de de jaan bhi
jo dosti ka ho yakin
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami
lyrics of song Ye Lukhnow Ki Sar Zameen
Comments on song "Ye Lukhnow Ki Sar Zameen"
Sholay48 on Wednesday, September 21, 2011
The most versatile indian singer is Rafi saab. He sang few songs in this
same film, all different. This is one. The next is sang by Johny Walker,
and the third by Guru Dutt which we all know very well, Chaudawin ka chaand
ho, ya aftaab ho. What a great singer. In a class of his own.
gopal sinha on Sunday, March 17, 2013
What a tribute to the tahzib of the old city of Lucknow.My fav.and one of
the best of Shakeel,Ravi and Rafi individually and together.
Dev Rattan on Wednesday, December 24, 2014
Wait for Rafi for thousands of year and hope for the best.
Kartar Singh baggha on Thursday, June 23, 2011
Long Live RAFI SAHAB...you still ruling on our heart !
Deepak Dhacka on Tuesday, February 26, 2013
SHAKEEL SAAB was THE LYRICIST . . . . . . .
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Chaudhvin Ka Chand (1960)
Guru Dutt, Waheeda Rehman, Minu Mumtaz, Rehman, Johnny Walker, Mumtaz Begum, Parveen Paul, Noor Jahan, Tun Tun, Farida Jalal, Vikram Kapoor, S N Banerjee, Uma Devi, Lata Sinha, Naazi, Zebunisa, Kesarbai, Indumati, Aruna, Balam, Prakash, Usmani, Nazir KashmiriAsha Bhosle, Geeta Dutt, Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi, Shamshad BegumShakeel BadayuniRaviM SadiqGuru DuttChaudhvin Ka Chand at IMDB      Chaudhvin Ka Chand at WikipediaChaudhvin Ka Chand at YouTube    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type