ye mehka mausam
aur ye tanhaai
oho o ye mausam
tan par pade fulo ke saaye
tan par pade fulo ke saaye
aag si lag jaaye
aag si lag jaaye haay
oho o ye mausam
o jahan jaaye ye nigaahe
dekh lahraati ye fijaaye najaaro me
sharmili dulhan jaise koi
sharmili dulhan jaise koi
muskuraaye haaye lajaaye, lajaaye
sapno me kahi khoi
un aaha aaha
oho ye mehka mausam
aur ye tanhaai
oho o ye mausam
o kaliyon se bhar daali
dekho lachke yun matwaali hawaao me
mujhe bhi yun pawan koi chhu le
mujhe bhi yun pawan koi chhu le
man ko fir haay jhulaaye, jhulaaye
andekhe koi jhule un aaha aaha
oho ye mehka mausam
aur ye tanhaai
oho o ye mausam
o haule haule jaise bhole
panchhi udte hai par khole bahaaro me
main bhi chaaun kahin pe ud jaaun
main bhi chaaun kahin pe ud jaaun
rut ye fir haay na jaye, na jaye
aisi nagme sajaaun un aaha aaha
oho ye mehka mausam
aur ye tanhaai
oho o ye mausam