kiya jo ishq to hum ho gaye diwane se
diwangi ki dawa puchhi is zamane se
kaha zamane ne dil se use bhula dalo
ye haal hota hai dilwar ke yaad aane se
ye sunke humne zamane pe muskurake kaha
kasam khuda ki khuda ki kasam
utha ke kaha
ye na hoga
ye na hoga ye humse nahi hoga
ye na hoga ye humse nahi hoga
dil hai to dil me koi
dil hai to dil me koi hasin hoga
ye na hoga ye humse nahi hoga
ye na hoga ye humse nahi hoga
ishq hai ek afsana
aur dil ek diwana
baat logo ki mano ae shama ke parwano
aag pe chalna hoga pyar me jalna hoga
ye mohabbat diwani aag ko samjhe pani
gul mile ya angare humko dono hai pyare
dekh ke angaro ko bhul jaye yaado ko
ye na hoga ye humse nahi hoga
ye na hoga ye humse nahi hoga
dur hai dil ki manzil
rasta hai ye kaatil
humasafar dil todenge raah me hi chhodenge
is safar pe na jana sab kahenge diwana
pyar hai apni manzil
pyar hai apna sahil
raah me rah jayenge
dub ke bah jayenge
bewafa hum kahlaye
ya phir ye na farmaye
ye na hoga ye humse nahi hoga
ye na hoga ye humse nahi hoga
Khakaan 1965 Hanna Deluxe Aspi Irani Ratnamala, Prithviraj Kapoor, Dara
Singh, Mumtaz, Rajan Kapoor, Goldstein, Bhagwan N. Dutta