pahle aankh ladaiye, phir aage badh jaaiye
badhkar hath milaiye, apna naam bataiye
pehlu me jam jaaiye, phir bhi wo na
pyar kare to pichhe hi pad jaaiye
mohabbat rang layegi, hasina maan jayegi
mohabbat rang layegi, hasina maan jayegi
kisi se pyar karke dekhiye
ye zindagi kitni hasin hai
mohabbat rang layegi, hasina maan jayegi
kisi se pyar karke dekhiye
ye zindagi kitni hasin hai
bas pehli hi pahchan me le jao resturan me
farmais kar do dance ki, ye sidi hai romance ki
phir haal-e-dil keh dijiye, kuch sharam na isme kijiye
agar wo ruth jayegi to kya wo shor machyegi
agar wo ruth jayegi to kya wo shor machyegi
no no no no, hasina maan jayegi, hasina maan jayegi
kisi se pyar karke dekhiye
ye zindagi kitni hasin hai
dar lagta ho to phone par keh do
nahi soya raat bhar, besharmi se ya
sharam se bas kehte jao dharam se
diwana hu mar jaunga, badnam tumhe kar jaunga
agar wo khauf khayegi, to sidhi chal ke aayegi
agar wo khauf khayegi, to sidhi chal ke aayegi
yes yes yes yes hasina maan jayegi, hasina maan jayegi
kisi se pyar karke dekhiye
ye zindagi kitni hasin hai
dil rakhti hai to maregi, ek roj mohabbat karegi
ab darti hai ruswayi se, phir bhagegi tanhayi se
pakdegi palla ishq ka, jalim hai halla ishq ka
jo is mehfil me aayegi, to kya wo bach ke jayegi
jo is mehfil me aayegi, to kya wo bach ke jayegi
no no no no, hasina maan jayegi, hasina maan jayegi
kisi se pyar karke dekhiye
ye zindagi kitni hasin hai
mohabbat rang layegi, hasina maan jayegi
mohabbat rang layegi, hasina maan jayegi
mohabbat rang layegi, hasina maan jayegi
Rafi Sahib you have no match. You are the undisputed king of the music
world.