ye baat hai naseeb ki kisi se kuch gila nahi

chale jo sath do kadam wo humsafar mila nahi

wo kaise log hai jinhe naseeb hai khushi
wo honge aur raas jinko aayi dosti
mere to khwab bhul se bikhar gaye sabhi
mere to khwab bhul se bikhar gaye sabhi
ye baat hai naseeb ki kisi se kuch gila nahi
ke pyar ka koi bhi phool pyar se khila nahi
ye baat hai naseeb ki kisi se kuch gila nahi
ye kya mukaam hai ye aa gaya hoon main kaha
ke ajnabi se laga rahe hai mujhko sab yaha
kise kahu sunega kaun meri dastaa
kise kahu sunega kaun meri dastaa
ye baat hai naseeb ki kisi se kuch gila nahi
ke dur tak ummeed ka koi bhi silsila nahi
ye baat hai naseeb ki kisi se kuch gila nahi
koi mujhe pukar le koi to de sadaa
main der tak is intzaar me khada raha
sharaab ne diya hai sath iska shukriya
sharaab ne diya hai sath iska shukriya
ye baat hai naseeb ki kisi se kuch gila nahi
wafa ka dosti ka pyar ka yaha sila nahi