ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
jab jab tujhko yaad karu main
daud ke aana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
main bhulun to bhul na jaaun
yaad dilana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
ye baate ye kasme waade
yaad rakhenge hum
ye baate ye kasme waade
yaad rakhenge hum
in yaadon se dil apne
abaad rakhenge hum
mere mitava mere saathi
saath nibhana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
hum dono ek baag ke panchhi
ek daali ke phool
ho hum dono ek baag ke panchhi
ek daali ke phool
ik dujhe ko hum bhule
hum se na ho ye bhul
mausam badle duniya badle
badal na jaana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
tera mera naam alag hain
ek magar hain jaan
tera mera naam alag hain
ek magar hain jaan
saath jeeye hum saath mare hum
ye apna armaan
jab main pukaarun saari duniya
chhod ke aana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
jab jab tujhko yaad karu main
daud ke aana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu
main bhulun to bhul na jaaun
yaad dilana tu
ye bachpan ka pyar purana
bhul na jaana tu, bhul na jaana tu