mehnat karte aaye hai hum mehnat karte jayenge
jab tak ye hath salamat hai kyu daan ke tukde khayenge
kyu daan ke tukde khayenge ye hath hi apni daulat hai
ye hath hi apni takat hai kuch aur to punji paas nahi
ye hath hi apni kismat hai ye hath hi apni daulat hai
hum dhanwalo ke put nahi nirdhan ma bap ke bache hai
sab aur sahare chhute hai ye do hi sahare sache hai
ye do hi sahare sache hai ye hath hi apni daulat hai
ye hath hi apni takat hai kuch aur to punji pas nahi
ye hath hi apni kismat hai ye hath hi apni daulat hai
kya gam jo hamare mat pita sona chandi na jod sake
wo achhe dil ke malik the wo lut ka mal na jod sake
wo lut ka mal na jod sake ye hath hi apni daulat hai
ye hath hi apni takat hai kuch aur to punji pas nahi
ye hath hi apni kismat hai ye hath hi apni daulat hai
bhulenge hum na is shiksha ko chori se mehnat behtar hai
sukh ke liye zilat sahne se dukh sahne ki aadat behtar hai
dukh sahne ki aadat behtar hai ye hath hi apni daulat hai
ye hath hi apni takat hai kuch aur to punji pas nahi
ye hath hi apni kismat hai ye hath hi apni daulat hai
Jana pehchana geet. Radio Ceylon broadcasted this on labour day 1st May
each year