Lyrics of Ye Hansi Ye Khushi Lakho Baras Yuhi Aaye - ये हसीं ये खुशी लाखो बरस युही आये
ye hansi ye khushi lakho baras yuhi aaye
ye hansi ye khushi lakho baras yuhi aaye
ye hansi ye khushi lakho baras yuhi aaye
naujawani teri geet gati rahe
jindagi naaj se muskarati rahe
naujawani teri geet gati rahe
jindagi naaj se muskarati rahe
dan badan roop se dhup chadati rahe
har adda teri jadu jagati rahe
ye tera barappan, sabke dilo me samaye
ye hansi ye khushi lakho baras yuhi aaye
aarzu se chaman me bahar aa gayi
har khushi kar ke solha singhar aa gayi
aarzu se chaman me bahar aa gayi
har khushi kar ke solha singhar aa gayi
aaj sadiyo ke armaan pure huye
vo ghadi jiska intjaar tha aa gayi
pyaar ne jhum ke hiro ke moti lutaye
ye hansi ye khushi lakho baras yuhi aaye
dhadkano ka sarana badalne ko hai
aaj sara jamana badalane ko hai
dhadkano ka sarana badalne ko hai
aaj sara jamana badalane ko hai
jindagi ne li hai nayi karvate
aaj sara fasana badalne ko hai
ye hawa ye fiza na jane kya rang laye
ye hansi ye khushi lakho baras yuhi aaye
Wonderful - unique with distinction besides being beautiful. All credit to
Sahir Ludhianvi, S D Burman and Geeta Dutt. Thank you.