yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan
aa gaye hum kaha ai mere saajna
in bahaaro me dil ki kali khil gayi
mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
tere hontho pe hai husn ki bijliya
tere gaalo pe hai julf ki badaliya
tere baalo ki khushbu se mehke chaman
sangmarmar ke jaisa yeh tera badan
mere jaanejaan yeh hai teri chandani
chhed do tum aaj koi pyar ki raagini
yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan
aa gaye hum kaha ai mere saajna
yeh bandhan hai pyar ka dekho tute na sajni
yeh janmo ka sath hai dekho chhute na sajna
tere aanchal ki chhaanv ke tale
meri manjil mujhe mil gayi
teri palako ki chhaanv ke tale
mohabbat mujhe mil gayi
yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan
aa gaye hum kaha ai mere saajna
in bahaaro me dil ki kali khil gayi
mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan
aa gaye hum kaha ai mere saajna
ji karta hai saajna dil me tumko bitha lu
aa masti ki raat me apna tumko bana lu
uthne lage hai tufaan kyo
mere sine me ai sanam
tumhe chaahunga dilo jaan se
meri jaanejaan teri kasam
yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan
aa gaye hum kaha ai mere jaanejaan
in bahaaro me dil ki kali khil gayi
mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
mere jaanejaan yeh hai teri chandani
chhed do tum aaj koi pyar ki raagini
yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan
aa gaye hum kaha ai mere saajna
yeh hasin vaadiya yeh khula aasmaan
aa gaye hum kaha ai mere saajna
lyrics typed by: neha gupta
simply great composition by A R rahman and well sung by singers with
beautiful filming by manti ratnam...where is that charm of A R rahman is
gone...his music in jab tak hay jaan and highway is just not that good...