ye khel aakhir kisliye man nahi ubta
kai kai baar to khel chuke hain
ye khel ham apni zindagi me
khel khela hain khelte rahe hain
natiza fir vahi ek jaisa
ek baaki rahta hain, haansil kya hota hain
zindagi har ek dusre ke andhere me hain
aakhir kisliye
ek kahani hain sunaau, kahaani do premiyo
dono javaan khubsurat akalmand
ek ka dusre se bepnaah pyaar
kasmo me bandhe huye ki janm janmantar tak
ek dusre ka saath nibhayenge
magar fir alag ho gaye
naujavaan fauz me chala gaya
gaya to laut ke nahi aaya
laapta ho gyaa
logo ne kaha mar gaya
magar mehbuba atal thi
boli ki wo lautega jarur lautega
pure chalish saalo tak saadhna me rahi
vafadaari se intjaar kiya
aakhir ek roz mehbub ka sandesh mila
main aa gaya hun sivaan vaale mandir me milo
kahne lagi dekha maine kaha tha na
daur kar gayi mandir pahuchi
par premi na dikhai diya
ek aadmi baitha tha ek dam budha
popla muh daant ganji aankho me mail
boli yaha to koi nahi
jarur kisi ne shararat ki hain
maayus hokar ghar lauti
waha mandir me intjaar karte karte
vo bhi thak gaya koi nahi aaya
chidiya ka bachcha tak nahi
ha ek budhiya aai thi
kamar se jhuki hui, baal uljhe uhe
aankh me motiyabandi
mandir me jhaankar dekha kuch badbdaai
aur apne hi saath
baat karte huye dur chali gayi
nirash ho gaya bechara bola
usne intjar nahi kiya
grsti rajkar mujhe bhul gayi
sandesha bheja tha
fir bhi milne tak nahi aai
kisliye aya
aakhir kisliye ye khel man nahi ubta