hay tauba-tauba ye jawani ye jawani ka garur
ishk ke samne sar phir bhi jhukana hi pada
kaisa kahete the na aayenge, na aayenge magar
dil ne is tarah pukara tumhe aana hi pada
yeh mana meri jaan mohabat saja hai
yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
maja isme itna magar kisliye hai
woh ek bekarari jo ab tak idhar thi
woh hi bekarari udhar kisliye hai
abhi tak toh idhar thi udhar kisliye hai
kisliye hai ha kisliye hai
ha yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
maja isme itna magar kisliye hai
behalna na jane badalna na jane
tamanna machal ke sambhalna na jane
tamanna machal ke sambhalna na jane
behalna na jane badalna na jane
hay tamanna machal ke sambhalna na jane
behalna na jane badalna na jane
ho ho tamanna machal ke sambhalna na jane
ha tamanna machal ke sambhalna na jane
karib aur aao kadam toh badhaao
juka du na me sar toh sar kisliye hai
juka du na me sar toh sar kisliye hai
ha yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
maja isme itna magar kisliye hai
najare bhi dekhe ishare bhi dekhe
kayi khubsurat sahare bhi dekhe
kayi khubsurat sahare bhi dekhe
najare bhi dekhe ishare bhi dekhe
kayi khubsurat ha sahare bhi dekhe
naam kya chij hai ijjat kya hai
sone chandi ki hakikat kya hai
lakh bahlaaye koyi daulat se
pyar ke samne daulat kya hai
ho ho najare bhi dekhe ishare bhi dekhe
hay kayi khubsurat sahare bhi dekhe
kayi khubsurat sahare bhi dekhe
jo maikhane ja kar main sagar uthaau
toh phir yeh nashili najar kisliye hai
toh phir yeh nashili najar kisliye hai
ha yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
maja isme itna magar kisliye hai
tumhi ne savanra tumhi ne sajaya
mere sune dil ko tumhi ne basaya
mere sune dil ko tumhi ne basaya
tumhi ne savanra tumhi ne sajaya
mere sune dil ko tumhi ne basaya
jis chaman se bhi tum gujar jao
har kali par nikhar aa jaye
ruth jo toh ruth jaaye khuda
aur jo has do toh bahar aa jaye
ho ho tumhi ne savanra tumhi ne sajaya
hay mere sune dil ko tumhi ne basaya
mere sune dil ko tumhi ne basaya
tumhare kadam se hai ghar me ujala
agar tum nahi toh yeh ghar kisliye hai
agar tum nahi toh yeh ghar kisliye hai
ha yeh mana meri jaan mohabat saja hai
maja isme itna magar kisliye hai
woh ek bekarari jo ab tak idhar thi
woh hi bekarari udhar kisliye hai
woh hi bekarari udhar kisliye hai
Priya Rajvansh such a beatiful actress - but very sad end of life..