Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.50 - 2 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Yeh Surkhiya Ye Laaliya - ये सुर्खियाँ ये लालियाँ
ye surkhiya ye laliya ye zulfe bhi hansi
are hum na chahenge to kisi kam ki nahi
hum na chahenge to kisi kam ki nahi
ye surkhiya ye laliya ye zulfe bhi hansi
hum na chahenge to kisi kam ki nahi
hum na chahenge to kisi kam ki nahi
tera to naam pyar ke afsane me nahi
tera to naam pyar ke afsane me nahi
budho ko is zamane me koi puchhta nahi
budho ko is zamane me puchhta nahi

ye mast mast aankhe aur ye rup chulbula
do pal bhi na rahega ye pani ka bulbula
are ja itna garur na kar
kyu itna garur na kar
itna garur na kar karenge
itna garur na kar tu
o nikharte chaman ha
o nikharte chaman ha
are ha o nikharte chaman ha
jawani char din hai budhapa hajar din

ha ye sokhiya ye mastiya
inka hai kya yakin
are hum na chahenge to kisi kam ki nahi
hum na chahenge to kisi kam ki nahi

budhe ko phir jawani ka to khayal aa gaya
ke jaise basi dal me phir ubal aa gaya
kab ye tera irada kab ye tera irada
kab ye tera irada kab ye tera irada
nakam ho jaye ye nakam ho jaye
aji nakam ho jaye
yu dekhte hi teri bolo ram ho jaye

ha mukhde pe kali rat muh me dant bhi nahi
budho ko is zamane me koi puchhta nahi
budho ko is zamane me koi puchhta nahi

dhadi ke bal dekh na tu ha dil ka rang dekh
mera tu shok dekh ha meri umang dekh
baho me tujhko apni baho me tujhko apni
baho me tujhko apni hey ram
baho me tujhko apni mai to sulaunga
ha mai to sulaunga are ha mai to sulaunga
kasam hai tujhko din me hi tare dikhaunga

ishq ka mai aasma tu pyar ki zami
are hum na chahenge to kisi kam ki nahi
hum na chahenge to kisi kam ki nahi

chahre pe koi nur na aankho me koi roshni
jalti hai iske dil me phir bhi aag ishq ki
chand se andhere ka chand se andhere ka
chand se andhere ka chand se andhere ka
mukabala hai kya aahe mukabala hai kya
aji ha mukabala hai kya
budhe ko dekho ishq ne pagal bana diya
ha jidhar gayi jawani teri are tu bhi ja wahi
budho ko is zamane me koi puchhta nahi
budho ko is zamane me koi puchhta nahi
lyrics of song Yeh Surkhiya Ye Laaliya
Comments on song "Yeh Surkhiya Ye Laaliya"
norina66 on Tuesday, January 19, 2010
Where do you keep finding these gems of Mohd Rafi, bhai saab? Mera khayal
aap ko koi khazana mil gaya hai! Lol
Zed Axis on Thursday, January 28, 2010
Heard for the first time.. Mohammed Rafi Rox.. Asha is superb too...
Excellent pair
M48OOB on Tuesday, January 19, 2010
wah wah well done brother 1st time on youtube.
humraaz786 on Tuesday, January 19, 2010
Nice qawali Swaminath bhai.Kya baath hai.
panchamsfanclub on Tuesday, January 17, 2012
dhinchak song by Rafi sahab.

Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Guru Aur Chela (1973)
Mohammed Rafi, Asha Bhosle, Ghulam Mohammad, Sushma ShresthaSaleem Sagar, Verma Malik, Dev Kohli, Asad BhopaliC ArjunGuru Aur Chela at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type