yun to guzar raha hai har ek pal khushi ke saath
fir bhi koi kami si hai kyun jindagi ke saath

rishtey wafaaye dosti sab kuch to paas hai
kya baat hai pata nahi dil kyon udaas hai
har lamha hai hasi nai dilkashi ke saath
fir bhi koi kami si hai kyun jindagi ke saath
yun to guzar raha hai har ek pal khushi ke saath
fir bhi koi kami si hai kyun jindagi ke saath
chaahat bhi hai sukun bhi hai dilbari bhi hai

aankho me khwab bhi hai labon par hansi bhi hai
dil ko nahi hai koi shikayat kisi ke saath
fir bhi koi kami si hai kyun jindagi ke saath
yun to guzar raha hai har ek pal khushi ke saath
fir bhi koi kami si hai kyun jindagi ke saath
socha tha jaisa vaisa hi jivan to hai magar
ab aur kis talaash me bechain hai najar
kudrat ne to meharbaan dariya dili ke saath
fir bhi koi kami si hai kyun jindagi ke saath
yu to guzar raha hai har ek pal khushi ke saath
fir bhi koi kami si hai kyun jindagi ke saath
Beautiful Song. Phir bhi koi kami hai zindagi ke saath! Jagjit Saab has
an amazing voice.. full of such emotion!