Video of this song from youtube
Lyrics of Yu Hasrato Ke Daag Mohabbat Me Dho Liye - यूँ हसरतों के दाग मोहब्बत में धो लिए
yu hasrato ke daag mohabbat me dho liye
khud dil se dil ki baat kahi, aur ro liye
yu hasrato ke daag

ghar se chale the ham to, khushi ki talash me
ghar se chale the ham to, khushi ki talash me
khushi ki talash me
gham raah me khade the wahi, sath ho liye
khud dil se dil ki baat kahi, aur ro liye
yu hasrato ke daag

murjha chuka hai phir bhi ye dil phool hi to hai
murjha chuka hai phir bhi ye dil phool hi to hai
ha phool hi to hai
ab aap ki khushi ise kanto me toliye
khud dil se dil ki baat kahi, aur ro liye
yu hasrato ke daag

hotho ko si chuke to, jamane ne ye kaha
hotho ko si chuke to, jamane ne ye kaha
jamane ne ye kaha
ye chup si kyo lagi hai aji, kuch to boliye
khud dil se dil ki baat kahi, aur ro liye
yu hasrato ke daag mohabbat me dho liye
khud dil se dil ki baat kahi, aur ro liye
yu hasrato ke daag mohabbat me dho liye
khud dil se dil ki baat kahi, aur ro liye
yu hasrato ke daag
lyrics of song Yu Hasrato Ke Daag Mohabbat Me Dho Liye
Comments on song "Yu Hasrato Ke Daag Mohabbat Me Dho Liye"
nawabshaukat on Sunday, September 19, 2010
Touch of CLASS madan mahaaaaan +lata ji = qayamat
Akshay Kumar on Friday, October 30, 2015
यूँ हसरतों के दाग, मोहब्बत में धो लिए
खुद दिल से दिल की बात कही और रो लिए

घर से चले थे हम तो, खुशी की तलाश में
गम राह में खड़े थे, वो ही साथ हो लिए

मुरझा चुका हैं फिर भी ये दिल फूल ही तो हैं
अब आप की खुशी, इसे काँटों में तोलिये

होठों को सी चुके तो, जमाने ने ये कहा
ये चुप सी क्यों लगी है, अजी कुछ तो बोलिए
Daudpota64 on Sunday, April 10, 2011
main samajhta hoon ke ham sab apni zindgi mein ek martaba iss majboori k daour se zaroor guzartey hain jaisee takleef dah kafiyat se iss geet mein Madam Nargis ko dikhaya gaya hay aur hamarey bhi jazbaat wohi hotey hain jin ka lafzon mein izhaar iss geet mein kia gaya hay, aur jis dukh aur aziyat ka bharpoor muzahira Madam Lata ne kiya hay wo sirif wo hi kar sakti thee.be-chargi ka mukamil andaz hay yeh geet.
Nitin Modi on Saturday, October 03, 2015
superb song ultimate lyrics by Rajendra krishan ji amazing music by madan
mohan and heartvtouching voice of lata di
Jagjit Singh Ishar on Friday, September 20, 2013
Another feather in the feathered cap of Madan Mohan sahib. An invaluable
gem from the melodious golden era.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Adalat (1958)
Pradeep Kumar, Nargis Dutt, Pran, Yaqub, Achla Sachdev, Murad, Rashid KhanLata Mangeshkar, Mohammed Rafi, Asha Bhosle, Geeta Dutt Rajinder KrishanMadan MohanKalidasMallika Kawatra, N. S. KawatraAdalat at IMDB      Adalat at WikipediaAdalat at YouTube     |    Adalat at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type