yun to saawan mein bhigate hai badan
phir bhi pyasa rahe mera ye mann
bhige mausam mein chaand nikla hai
jaane kyun tezz dil ki dhadkan hai
palkon mein main chhupa loon
saanson mein yaa basaa loon
palkon mein main chhupa loon
saanson mein yaa basaa loon
sapna bana ke tujhko
aankhon mein yaa saza loon
yun toh kehne ko hai kai baate
keh doon yaa na kahoon yeh uljhan
paas aake door kyun ho
lab pe khamoshi kyun bhala hai
paas aake door kyun ho
lab pe khamoshi kyun bhala hai
yeh na bhulo ke khamoshi bhi
teer dil ki woh jubaan hai
aankhein kehti hai dastaan meri
yeh jo chehra hai mann ka hai darpan
yun to saawan mein bhigate hai badan
phir bhi pyasa rahe mera ye man